Catogry

Dil lage

ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Jab bhi aye teri yaad sanam,
dil mein angaare bharke
aankhein bhar aye,
dil pukare jaaneman tujhko,
har saans ke saath tera hi
naam zuban par aye.
_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=
Aaj mat rok khud ko
madhosh ho jane de,
pas aa apne nashe mein kho
jane de,
na au hosh mein na kabhi
meri saanson se teri mehek
jaye,
band kar le aankhein ab jo
hota hai ho jaane de.
_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=
Khud ko is dil main basanay ki
ijazat day do,
Mujh ko tum apna bananay ki
ijazat day do,
Tum meri zindagi ka ek haseen
lamha ho,
Pholon say khud ko sajanay ki
ijazat day do,
Mein kitna chahta hon kis tarah
bataon tumhein,
Mujhey yeh batanay ki ijazat day
do,
Tumhari raat si zulfon mein
chand sa chahra,
Yeh jaan tum phir lutanay ki
ijazat day do,
Nahin shoq Saqib ko bhool ka
magar,
Mujhey yeh duniya bhool janay ki
ijazat day do
____________________
Jab se begum ne mujhe murgha
bana rakha hai,
Main ne nazron ki tarhan sir bhi
jhuka rakha hai,
Bartano aaj mere sir pe baraste
kion ho ?
Mein ne dho dha k tumhain kitna
saja rakha hai,
Roz leti he talashi wo police ki
manind,
Pochti he kahan paison ko chupa
rakha hai,
Wahi duniya main muqaddar ka
sikandar tehra,
Jis ne khud ko yahan shadi se
bacha rakha hai,
Pi ja is maar ki talkhi ko bhi has
k shohar,
Mar khane mein bhi qudrat ne
maza rakha hai..
______________________
Ek Lamhe Me Unhone Zindagi
Sawar Di,
Doosre Lamhe Me Unhone Zindagi
UjaR Di,
Kusoor Unka Nahi Hamara Hai
Un Do Lamho Mein Hamne Zindagi
Guzar Di.
____________________
Saza Dene Wale Raza Puchte
Hain,
Jeene Ki Humse Wajah Puchte
Hain,
Dete Hain Khud He Zahar Humko
Aakar,
Phir Kitna Hua Hai Asar Puchte
Hain,
Jub yad ka album kholon to,
Kuch log bohut yad ate hain,
Main guzre dinon ka sochon to,
Kuch log bohut yaad ate hain,
Ab jane kis nagri main,
Soay pare hain muddat se,
Main raat gaye tuk jaogon to,
Kuch log bohut yaad aate hain
,
Kuch batein theen pholon jesi,
Kuch khushbo jese lehje thy,
Mein sheher-e-chaman mein
tehlon to,
Kuch log bohut yaad aate hain
,
Wo pal bhar ki narazgiyan,
Aur maan bhi jana pal bhar main,
Ab khud se jub bhi rothon to,
Kuch log bohut yaad aate hain
..!
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm
__-__-__-__-__-__-__-__-
Kya khabar tum ko dosti kya hai
,
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
,
Khwahishon se bhara jazeera bhi hai,
Bohat anmol ek heera bhi hai,
Dosti ek haseen khwab bhi hai
,
Pass se dekho to sarab bhi hai
,
Dukh milne pe yeh azaab bhi hai
,
Aur yeh pyaar ka jawaz bhi hai
,
Dosti yoon to maya jaal bhi hai
,
Ek haqeeqat bhi hai khayal bhi
hai,
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
,
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai,
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
,
Dil main reh jai to kassak bhi hai,
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
,
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
,
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
,
Wafa kya hai wafa bhi dosti hai
,
Dil se nikli Dua bhi dosti hai
,
Bas itna samajh lo tum
Pyaar ki inteha bhi dosti hai..!
_____________________
Lab pai aati hai dua ban k
tamanna meri,
zindagi bomb sai ho mehfoz
khudaya meri!
Main jo daftar k liye ghar se
nikal ker jaon,
Roz marrah ki tarha khair se
wapas aaon!
Na koi bomb k dhamakay se
uradaye mujh ko,
muft main jaam-e-shahadat na
pila de mujh ko!
Jo uraday mujhay khudkash to
doain dunga,
bay wazu hokay chacha bush ko
doain donga !
Biwi bachon ko meri jan ki
qeemat mil jai,
bethay bethay meray ghar
walon ko daulat mil jaye!
Hain jin logon se kal tak thee
watan ki zenat,
aaj woh log hoay qabar-o-kafan
ki zenat !
Ghar mera hogaya viranay ki
soorut yarab,
Aur badli na kisi thanay ki soorat
yaarab !
In pai jaiz hai zabardasti hukumat
karna,
Aur hai jurm mujhey apne hifazat
karna!
Rozi hum sub ki bacha roz ki
hartalon sai,
Jan aur maal ho mefoz police
walon sai!
Jub na schol khulain gay to
perhain gay kaisay,
Aur zinda na rahaingay to
barhaingay kaisay..!
__-__-__-__-__-__-__-__-
Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,
Wo yar hamara kaisa hai?
Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?
Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?
Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se phaili udasi hai ?
Kia wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?
Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?
Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hain ?
Wo humse bicher ker khush hai
agar,
To hum pal pal kion marte hain ?
__-__-__-__-__-__-__-__-
Kaisay kahon k apna bana lo
mujhey,
Bahoun main apni sama lo
mujhey,
Bin tumharay ek pal bhi kat-ta
nahin,
Tum aa ker mujh se chura lo
mujhey,
Zindagi to wo hai sang tumharay
jo guzray,
Duniya k ghamoun se ab chura lo
mujhey,
Mere sab se gehri Khuwahish ho
puri,
Tum agar pas apnay bula lo
mujhey,
Yeh kaisa nasha hai jo behka
raha hai,
Tumhara hon main tu phir
sanbhalo mujhey,
Najanay phir kaisay guzray gi
Zindagani,
Agar apnay dil se kabhi tum
nikalo mujhey.
__-__-__-__-__-__-__-__-

ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Tum roth jao mujhse, Aisa kabhi
na kerna,
Main ik nazar ko tarsoon, Aisa
kabhi na kerna,
Main poch poch haron, so so
sawal kar k,
Tum kuch jawab na do,
Aisa
kabhi na kerna,
Main kisi roz tum ko sada dun,
Aur tum na aao,
Aisa kabhi na
karna,
Tum chaley jao jab bhi to dekhon
tumhara rasta,
Tum loat k na aao,
Aisa kabhi na
karna ….!!
______________________
Apni yaden, apni batain lay ker
jana bhool gaya,
Janay wala jaldi main tha, mil ker
jana bhool gaya,
Mur, murr ker dekha tha usnay
jatay rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch,
jo
wo kehna bhol gaya,
Waqt-e-rukhsat meri ankhai
ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah,
khud wo roona bhool gaya
..
______________________
Najane q meri shairi ka unwan
ban jate ho tum,
Sub kuch jante howe bhi anjan
ban jate ho tum,
Na koi rishta hay tum se na koi
talluk,
phir bhi na jane q mera man ban
jate ho tum,
Me jo bhi likhta hon bat zara
qarene se,
Mera geet meri shaira mera
deewan ban jate ho tum,
Dil se jo nikalti hai,
labon pe aa k
dum tor deti hay,
Woh tamanna, wo hasrat wo
arman ban jate ho tum.
Main lakh karon koshish tum se
tark-e-tlluq ki,
Phir bhari mehfil main meri
pehchan ban jate ho tum.
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Kahan dil chor aye ho,
bohut chup chap se rehtay ho,
Na bante ho na sanwarte ho
na koi bat karti ho
,
Bhari mehfil main bhi aksar
hamesha khoay rehtay ho,
Udasi aankho main le kay
her ek chehre ko takte ho,
Koi jab yaad aata hai to
Thundi aah bharte ho
,
To khul kar kion nahin kehtay
Kisi se pyar kertay ho
.!
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Meray Allah larai se bachana
mujh ko,
Aur sikha day koi banduk chalana
mujhko!
Khair se laut k ayain meray abbu
ghar main
Urr na jain woh dhamakay sai
kahin daftar main !
Raat din jaam traffic na rahay
sarkon per,
Koi nala na gatar bhar kar
bahay sarkon per!
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Qalma gawaion ko musalman
banaday yarab!
Naik aur saheb-e-iman banaday
yarab!
Naam-e-Islam ki hurmat ko
bachalay yarab
Waqt kai saray yazidon ko
uthalay yarab
!
Lub pai aati hai dua ban kay
tamanna meri..
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Ek rishta jo abhi ban raha tha ,
Tutne laga magar banne se
pahle.
Ek sahare se uthate the ham,
Gir gaye magar sambhalne se
pahle.
Sikhane lage the aap se
muskurana,
Rula diya magar hasne se pahle.
Kadam jo barhen aap ki disha
me,
Ruk gaye wahi chalne se pahle.
Magne ke liye kuchh jo jholi
phailai,
Khich liya haath kuchh dene se
pahle.
Hamne jo jalaye ummido ke
chirag,
Bujh gaye magar jalne se pahle.
Kya yahi arth hota hai rishto
ka?
Tutana hota hai inhe banne se
pahle.
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Zamanay ko jalnay do chalo aik
sath chalte hain,
Nayee duniya basanay ko chalo
aik sath chalte hain,
Hamain jeevan ka her lamha
tumhare naam kerna hai,
Yeh waada nibhanay ko chalo aik
sath chalte hain,
Suna hay mil k chalne se
muqaddar jaag uthte hain,
Yeh baat aazmanay ko chalo aik
sath chaltay hain..
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Un ka kiyaa dil main asay sama
gaya..
Sehra main goya jasay hoo
selaab aagya..
Ankhoon na meri ansoo say
ashna thii..
Askhoo ka aaj tu hoon darya
bhaa gaya …
Main us ko bewafa kahoon
mumqin nahi dost..
Her jand zakham dil pay wo
meray laga gaya..
Jinay ki baat or hay marnay ki
baat or..
Duniyaa say jo gaya wo akela
gaya …
“saqi” is jahan main rishtay aziz
hain…
Acha wohe raha jo in ko nibha
gaya…
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum
Chupa Chupa k mila,
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse
Muskura k Mila
,
Wo Humsafar K Mere Tanz Pe
Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke
Mila,
Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi
Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale
Laga K Mila,,
Main Us Se Mangta Kia Khoon
Baha Jawani Ka,
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar
Luta k mila
,
Main jisko Dhoond Raha Tha
Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar
Jhuka K Mila
,
Main Zakham-e-Zakham Badan Le
K Chal Dia,
Wo Jab Bhi Apni qabar Per
Kanwal Saja K mila
..!
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
kuch din to baso merii aa.Nkho.n
me.n
,
phir khuwab agar ho jaao to
kyaa
,
koi rang to do mere chehray ko
,
phir zakhm agar mehkao to kyaa
,
ik ainaa thaa so TuuT gayaa
ab Khud se agar sharmaao to
kyaa,
main tanhaa thaa main tanhaa
huuN,
tum aao to kyaa na aao to kyaa
,
jab ham hii na mahake phir
saahib
tum baad-e-sabaa kahlaao to
kyaa,
jab dekhne waalaa koi naheen
bujh jaao to kyaa jal jaao to
kyaa..!
_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=
Bas itni si inaayat mujh pe aik
baar kijiye
,
Kabhi aa ke mere zakhmon ka
dedaar kijiye
,
Ho jaaye begaane aap shauq se
sanam
,
Aapkee hain aapkee rahegey
aitbaar kijiye
,
Parhne waale hi darr jaayen
dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na
daagdaar kijiye
,
Na majboor kijiye, ke main unko
bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na
gunehgaar kijiye
,
In jalte diyon ko dekh kar na
muskuraaiye
,
Zara hawaaon ke chalne ka
intezaar kijiye,
Karna hai ishq aapse karte
rahenge hum
,
Jo bhi karna hai aapko mere
sarkaar kijiye,
Phir sapno ka ashiyaan bana liya
hai maine
,
Phir aandhiyon ko aap
khabardaar kijiye
Hame na dikhaiye ye daulaate ye
shohrat
,
Hum pyaar ke bhookhe hain
humey pyaar kijiye..!
_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=
Aik bay rang sa manzar hai
kahan tak sochon
zindagi main terey baray main
kahan tak sochon
Phenknay walay nay tu door say
pathar phenkay
,
aur main sirf paroosi k makaan
tak sochon,
Tera chehra bhi na yaad aye k
tu kaisa hai,
main tujhay sooch k reh jaaon
yahan tak sochon
,
Loog jis mor per ghabra k
bechar jaatay hain
,
tujh say milnay ka yaqeen ho tu
wahan tak sochon
Dost dushman nazar nahin atay
,
Ab to pather bhi ghar nahin atay
,
Sub ko roona mera mazaq lagay,
Ashq aankhon main bhar nahin
aatay,
Baap say pocho kia guzarti hai
,
Baitiyon k jo bur nahin aatay
,
Mujh say pocha yeh raat
wehshat nay,
aaj kal aap ghar nahin aatay,
Dosti ho gaye sitaron say,
Khuwab ab raat bhar nahin
aatay
..!
_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=
Safar tanha nahin karte
Suno aesa nahin karte
Chalo tum raz ho apna
Tumhain afsha nahin karte
Suno jis ka muqaddar ho ossey
chora nahi karte
Jisay shafaf rakhhna ho ussey
maila nahin karte
Jo bas jata hai dharkan main
ussey bhula nahin karte
Kisi ko dil dete waqt boht socha
nahin kartey
Jo pehlay sey tanha ho ussey
tanha nahin karte
Suno yadain sataingi magar roya
nahin karte
Suno tum yad atay ho aur hum
soya nahin karte
..!
_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=
Ek tamanna hai fakat mujh pey
meharban raho,
tum kisi aur ko dekho to bura
lagta hai,
Mery chahat ka takaza hai mere
sath raho,
ghair ka hath jo thamo tu bura
lagta hai,
Arzo hai tere her roop ko her
pal dekhon,
tum mere pas sey utho tu bura
lagta hai,
Roz-e-shab aaj b perwa hai
tumhari mujh ko,
tum kisi aur ko socho tu bura
lagta hai,
Ye mery rooh tarasti hai tumhari
khushbo ko,
tum kahin aur ja k mehko to
bura lagta hai
.
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm