Catogry

Tuesday, December 14, 2010

BEWAFA

Hamarey Daramiyan Aisa Koyi Rishta Nahin Tha

Terey Shaanon Pey Koyi
Chhatt Nahin Thi..

Mere Zimmay Koyi Aangan
Nahin Tha,

Koyi Wada Teri Zanjeer-e-Pa
Banney Nahin Paya,

Kisi Iqarar Ney Meri Kalaayi
Ko Nahin Thama,

Hava-e-Dasht Ki Maanind
Tu Azaad Tha,

Rastey Teri Marzi Ke Tabey
Thay,

Mujhe Bhi Apni TanhaI Pay
Dekha Jaye To Pura Tasarruf Tha,

Magar Jab Aaj Tu Nay Raasta Badla To Kuchh Aisa Laga Mujh Ko,

Ke Jaise Tu Nay Mujh Se
Bewafayi Ki

kahin sung mai bhi hai roshni
kahi aag mai bhi dhu ’aan nahi,

ye ajeeb shehr-e-tilism hai!
kahi admi ka bhi nishaan nahi,

na hi is zameen kay naseeb
mai na hi asma ’an kay faraz mai,

kati umar is ko talashtay, jo
kahi nahi par kaha nahi?

ye jo zindagni ka khail hai,
gham-o-inbasat ka mail hai,

usay qadar kya ho bahaar ki
kabhi dekhi jis nay khizaa’n
nahi,

woh jo kaat maray par na
jhuk sakay jo na maqtoolon
say bhi ruk sakay,

koi aisa sir nahi dosh par kisi
monh mai asi zubaa ’n nahi,

jo thay ashq mane woh pee
liye lab-e-khuskh shookhti
see liye,

meray zakhm phir ayaa ’n
rahay mera dukh phir bhi
nehaa ’n nahi,

nahi is ko ishq say wasta woh hai aur hi koi rasta,

agar is mai dil ka lahoo nahi
agar is mai jaan ka ziyaa ’
nahi,
IBNAY INSHA
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

No comments:

Post a Comment