Catogry

Tuesday, December 14, 2010

EK BHIGE HUI SI RAAT MILI

Ek bhegi hui si raaat mile

Ek bhegi hui si raat mile

us raat me tera hath mile

tere lab se tapken jo bonden

unhe mere labon ka sath mile

kuch tum bi behke behke se

kuch mujh pe nasha sa tari ho

har pal me chaye madhoshi

Ek aisi raat hamari ho

phir tum aao meri bahon me

main pyar karon tumhe ji bhar ke

tum mujhse thora sharma jao

sharma k galay se lag jao

main jitna tumko pyar karon

tum itne hi betab ho jao

hamein pyar k kuch lamhat milen

Ek bhegi hui si raat mile ….!

MERI HAMSAFR

Mere Humsafer, mere Hum-
nasheen

Main ne Rab se manga to kuch nahi

Per jub bhi mangi koi dua!

Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa”

Ye talab kya k mera Khuda!
Naye ehad ki

Sabhi rahtain, Sabhi chahtain,

Wo ata kre tujhe manzlain,

Ye talab kya k mera Khuda!

Tujhe Bakht de,Tujhe Taj de

Tujhe Takht de, Mere Humsafer,

Mere Chara-ger, Ye hai mohabbat ka khatan safer

Mere sath chalna zra soch ker

Mere pass zarr na koi hunar

Phir bhee dekh to mera hosla Mere paas jo kuch, Sabhi tera

Nahi aur kuch bhi tere siwa
Meri Dosti
Meri Zindgi
Meri Khamoshi
Meri Be-basi,
Meri Subha Bhi
Meri Sham bhi
Mera Ilm bhi
Mera Naam bhi,
K jo mil saken mere Daam bhi,

Wo sabhi kuch tujh ko ata kre;

Mere chara gr tu yaqin to kr
Mujhe mangna to na aa ska
Main ne phir bhi mangi yehi Dua K gwahi de ga mera Khuda

Maine jub b us se talab kya!

Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa...

YI HASART HAR JATE HI

Zamane se sona tha mohabbat har jati hai,

Jo chahat ik tarafa ho wo
chahat har jati hai,

Kahi par bhi duao ka ik lafz asar kar jata hai,

Kahi par barso ki ebadat har jati hai,

Mohabbat kab kisi ko doshmani ka dars day,

Ek arzoo see hai ke un ko bhol jai hum,

Magar un ki yaad ati hai ye
hasrath har jati hai...

HAR SHAKHS KHUDI MIN MASTI MIN

Har shaks khudi ki masti main

Alfaz k jhoote bandan main

Raz k gheray pardon main

har shakhs Mohabat karta hai

halan ke mohabat kuch bhi nhin

sab jhoote Rishte nate hain

Sab dil rakhne ki batein hain

sab asli roop chupate hain

ehsas se khali log yahan

lafzon k teer chalatey hain

ik bar nazar main aa kar wo

phir sari umer rulate hain

ye ishq mohabat mehr-o-wafa
ye sab kehne ki batain hain
har shahks khudi ki musti main
Bus apni khatir jeeta hai..

KHUDA NI MERI KISE DUA KO SUNA HE NAHIN

Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi,

“Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi,

Laakh koshish ki magar fasla
mita he nahi,

Us ko majboor zamane ne is
kadar kar diya k,

Meri kisi saada par woh thehra he nahi,

khuda se jholi pehla kay manga tha usay,

Khuda ne meri kisi dua ko sunna he nahi,

Har aik se pucha sabab us kay na milne ka,

Har eik ne kaha woh tere liye bana hi nahi …!!

RONA BHI PARTA HI

Rona bhi parta hay juda honey k mausam mai juda
hona bhi parhta hai,

Jisey mushkil se paya ho usey khona bhi parhta hai,

Khudi pe maan itna hai kabhi
murh kar nahi daikha

Jisey kehdoo’n k mera hai usey hona bhi parhta hai

Abhi to fasl e gul ho, misl e gul ho zehn mai rakhna

K jab waqt e khiza ’n aaye tau phir rona bhi parhta hai

Mujhey nindain nahee ’n bhatee’n k misl e marg hoti hain

Magar ikk khwab k lalach mai phir sona bhi parhta hai

Hamesha hansta rehta hoo ’n chhupa k gham zamaney se

Magar jab tera naam aaye to phir rona bhi parhta hai.!

ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
ålì.bùrìrø207@gmäîl.cøm

YA MERI SANS RUK JAI

Labon ki sersarahat se.
badan k choor hony tak.

Main tujh ko is tarah chahoon.
K meri saans ruk jaye.

Khataon par khata ’ain hon.
Na ho kuch baat kehne ko.

Main tujh main yoon sama jaoun.
K meri saans ruk jaye.
Na himmat tujh main ho baqi.

Na himmat mujh main ho baqi.
Magar itna qareeb aaoun.

K meri saans ruk Jaye.
Tere honton pe jab rakhoon.

Main apny hont kuch aise.
Ya teri pyaas bujh jaye.

YA MERI SAANS RUK JAYe.

LIKIN RAHNI DO

Saarey waadon ko bhula sakta hun,

lekin rehne do..!

Main tumhein chor k ja sakta
hun,

lekin rehne do..!

Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,

faisla mein bhi suna sakti hun,

lekin rehne do..!

Tum ne jo baat ki dil ko
dukhaney wali,

us per main muskura b sakta hun,

lekin rehne do..!

Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,

main tumhein yaad dila sakta hun,

lekin rehne do.

ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
ålì.bùrìrø207@gmäîl.cøm

WO PATHAR DIL SAHE

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai

Hamaray lab jinhe chu le wo
pathar bol utte

Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia

Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe

Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak

Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai

Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai

Is ke honton ki khamoshi bhi
sanad hoti hai

Abhi mitti na khunki thi abhi
paani na barsa tha

Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha..

AADAT NAHIN HIN

Sir jhukaany ki aadat nahi hay,

Aansoo bahaany ki aadat nhi hi,

Hm kho gaye to pachtao gay
bohat,

Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay,

Terey dar pay Muhabbat k
sawali ban jaaty,

Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay,

Teri yaaden aziz hen bohat,

Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay,

Tum sakht Dil nikle kya gila kren hum,

Shikwa -e-dil lab py laany ki
aadat nahi hay,

Bad ’dua b kya kren HAQ men tumhaary?

Hamain to Dil b dukhaany ki
aadat nahi hay..!

ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
ålì.bùrìrø207@gmäîl.cøm

TITLE

Titlee jo ek mujh ko mili thi
kitaab main

Titlee jo ek mujh ko mili thi
kitaab main

Woh apna aks chore gayi mere khuwaab main

Ab tak woh mere zehen main
uljha sawaal hai

Shaamil rahi jo har ghari mere nisaab main

Aankhon main neend hai na koi khuwaab door tak

Rehte hain hum bhi aaj kal waise azaab main

Milta hai gardishon se gale lag ke chaand bhi

Aaye the simat ke faasle kitne saraab main

Aakhir meri wafa ka mujhe kya sila mila

Likha na aik harf bhi us ne
jawaab main...

ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
ålì.bùrìrø207@gmäîl.cøm

GAJRA

Barasti boond chun chun kar
koi gajra bana deyna

MerI haathon main balon
main kabhi baarish saja
deyna

Kisi khushboo ka an deykha
sa aanchal aurh loon sar sey

GulAabon kuch lamhey ko tum mujhey apni adaa deyna

Wo merey haath par honton
ko rakhey piyaas ke dukh
main

Issi khaatir haatheli par koi
dariya bana deyna

Bikharti dhoop sa cherey
main behtey aab par dekhon

Zara paani main apney aks ka manzar milaa deyna

Main bhar loon haath ka
piyalaa sunheri dhoop kirnon
sey

MerI sooraj ko dariya key
kinarey par bulaa deyna

Ussi key haath rakh deyna
baharon key sabhi mousam

Mujhey titli key par dey kar
baharon ki duaa deyna

Meri aankahin jaga key tum
jo merey khuwaab parhtey
ho

suno! janey sey kuch pehley
meri aankhain sulaa deyna!!!

ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
ålì.bùrìrø207@gmäîl.cøm

TUM SI MUJHI ISHQ KA DAAWA TO NAHIN

Tum sey mujhey ishq ka
daawa to nahi hey

Lekin dil key mosamoN ko
jaanta hooN meiN

Ehsaas meiN ye tugyaani
pehley kabhi na thi

Jazbaat meiN ye jawaani
pehley kabhi na thi

Pehley mery qadam kabhi
behkey huwey na they

Jaagti aaNkhoN key khaab
mehkey huwey na they

Koi hey jo mery khaaboN
meiN samaata ja raha hey

Meri taareek raahoN meiN
sawerey ugaa raha hey

Na-mehram sey ik hamdam
tak, sab pardey chattakh
rahey heiN

SadyoN pey pheley faasley
aesy simatt rahey heiN

Key mehfil meiN rahooN to
mehfil ka lehaaz nahi rehta

Tanhaai meiN mujhey tanhaai ka ehsaas nahi rehta

AankhoN meiN kehkashaaN si
jo soorat ubhar rahi hey

HaathoN meiN us key naam ki lakeer ban rahi hey

Wo mujhey apney rangoN
meiN rangta jaa raha hey

Aur mery dil ka har mosam
badalta jaa raha hey

Yehi hey agar ishq to mujhy
honey laga hey ye

Tum hi ho wo shakhs to kyuN
boltey nahi..

CHADAR MIN TERI CHAHIRI KE MIHK RACHE HI

Takyi pay teray sar ka
nishan ab bee para hai

Chadar mein teray jism ke
mehka rachee hai

Hatoon mein damak’ta hai
teray chah’ray ka shona

Mah’thay pay teray hotoon
kee moh’rain see laghee hain

Naz’deek say kuch bhi to
dika’ee nahe dita

thore see alaag ho to teri

Chah ’ray ko daikhoon..

Tera hath zindge bhar na jaam tak puhnchi

Gham-e-ashiqui se keh do
rah-e-aam tak na pohanche

Mujhe khauf hai ye tuhmat
maire nam tak na pohanche

Main nazar se pee raha tha
to yeh dil ne bad-dua dii

Tira haath zindagi bhar
kabhi jaam tak na pohanche

Naii subah per nazar hai
magar aah yeh bhi darr haii

Ye seherr b raffta raffta
kahin shaam tak na pohanche

Unhain apne dil kii khabrein
maire dil se mil rahi hain

Main jo un se rooth jaaun
to pyaam tak na pohanche

Yehh ada-e-be ’nayazi
tujhayy be-wafa mubarakk

Magar aisi be-rukhi kia ke
salaam tak na pohanche

Jo naqaab-e-rukh utha dii
to yeh qaid bhi lagaa dii

Uthe harr nigah laikinn koii
baam tak na pohanche

Wohi ik khamosh naghma hai
Shakeel` jaan-e-hasstii

Jo zabaan tak na aaye jo
kalaaam tak na pohanche..
GHULAM ALI
ali.buriro207@gmail.com

MUJHI ZINDGI KA ALAM NAHIN

Merii zindagii pe na muskaRaa

Mujhe zindagii kaa alam nahiiN

jise teRe Gam se ho vaastaa
vo Khizaa’N bahaaR se kam
nahiN

MeRaa kufr haasil-e-zuud hai

MeRaa zuud haasil-e-kufR hai

Meri bandagii vo hai bandagii
jo rahiin-e-daiR-o-haram
nahiN

Mujhe raas aaye Khudaa
kare yahi ishtibaah kii
saa_ate ’N

UnheiN aitabaaR-e-vafaa to
hai mujhe aitabaaR-e-sitam
nahiN

Vahi kaar ’vaa’N vahii raaste
vahi zindagi vahii maR’hale

magar apane-apane muqaam paR kabi tum nahiN kabi ham nahiN,

Na vo shaan-e-jabr-e-shabaab hai na vo rang-e-
qahaR-e-itaab hai

Dil-e-beqaRaar pe in dinoo’N
hai sitam yahii ki sitam nahiN

Na fanaa meRi na baqaa meRi mujhe ai ‘Shakeel’ na
Dhuu.N Di

MaiN kisi kaa husn-e-Khayaal
huuN meRaa kuch vujuud-o-
adam nahiN..

KOI TO HO

Na hareef-e-jaaN… na
shareek-e-ghamm
Shab-e-intezaar koi tow ho

Kissey bazm-e-shauq mey
laayeN hum
Dil-e-beqaraar koi to ho

Kissey zindagi hai azeez abb!,
Kissey aarzoo-e-shab-e-
tarabb

Magar aye nigar-e-wafa-
talabb
Teraa aitebaar koi tow ho

KahiN taar-e-daaman-e-gul
mileyN,
To yeh maan leyN key
chamann khiley

Key nishaan fasl-e-bahaar
kaa Sar-e-shaakhsaar koi to ho

Yeh udaas udaas sey baam-
o-darr,
Yeh ujaardh ujaardh see rah-guzarr

Chalo hum nahiN, naa sahi
magarr Sar-e-koi yaar koi to ho

Yeh sukoon-e-jaan ki ghari
dhaley,
To charaagh-e-dil hee naa
bujh chaley

Woh balaa sey so gham-e-
ishq yaa
Ghame-roosgaar, koi to ho

Naa hareef-e-jaaN naa
shareek-e-gham..

MIN YI BHI JANTA HOON

Woh shaks ab yaad aa raha
hai mujh ko

Jo khud ko Pamistry ka
maahir batata thaa

Phir ussi ne ek din meri
hatheli ki Aarhi tirchee lakeerain dekhee theen

Us ka jumla hai yaad ab tak
Ke teri fitrat mein hi wafa hai

Wafa ki khaatir too jaan degi

Magar mein yeh bhi jaanta
hon

Teri wafa ko shikast hogi..

SAB KUCH WUHE TO HI!

Kuch bhi to nahe badla
Aaj bhi sab kuch wohi to hi

Wohi aasmaan wohi baadal
wohi aansoo
Wohi raat
wohi yaadain
wohi andhira
wohi shaam
wohi shama
wohi aarzoo
Dharti bhi
ard bhi wohi,

gaggan bhi samaan bhi wohi

Kuch bhi to nahe badla

Aaj bhi sab kuch wuhi to hai…

Wuhi tanhayee wuhi weeraani
wuhi san ’naatta
Wuhi falak wuhi sitaray wuhi
beqaraari

Wohi faaslay wohi dooreyaan

wohi ajnabeyyat
Tum ab bhi waheen ho jahaan hamaisha thee

Kuch bhi to nahee badla

Aaj bhi sab kuch wuhi to hai

Wohi dil wohi jaan wohi
dharkan

Wohi tasveer wohi khwahish
wohi armaan
Wohi baat wohi khushboo
wohi rang

Mein ab bhi waheen hoon aur
tum ab bhi waheen

Kuch bhi to nahe badla

Aaj bhi sab kuch wohi to hai

Wohi pyar wohi zindagi wohi
muhabbat
Wohi geet wohi ghazal wohi
naghma

Wohi mausam wohi phool wohi mehak

Mere leye tum aaj bhi wohi
ho kal bhi wohi rahogi

Kuch bhi to nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi to hai

Wohi galiyyaan wohi koochay
wohi makaan

Wohi tamanna wohi ek baam-o-dar

Wohi aas wohi aik hi raah
guzar Raahain aaj bhi tumhein hi
pukaara karti hain

Kuch bhi tau nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi to hai

Zindagi ke ye lamhay aaj bhi
waheen kharay hain

Chand gharreyyoo pe wakt
jaise ruk gaya ho

Manzil ke rastay mein ye
morr aaj bhi sadayain dete
hain

Mera aaj bhi wohi hai jo mera kal thaa

Kuch bhi tau nahee badla

Aaj bhi sab kuch wohi to
hai..

THAKAN KE DASTAN APNE MUJHI AB MAT SUNAO TUM!

Mujhey aaram karney do
mujhey ab mat sataa ’o tum,

Thakan sadiyon ki hai mujh ko mujhey ab mat jgaa ’o tum,

Miri khamosh aa’nkhoN say
koi qi’sa na kehna tum,

Miri khwa’bon meiN sehra
haiN mujey ab mat rulaa’o
tum,

Dukhon ki ikk kahaNi thi usi
ka aakhri hissa,

Bohat arsey say jaari tha
ussey ab mat dohraa ’o tum,

Mirey viraaN kamrey meiN
teri tasveer ab b hai,

Ye ab kamrey ka hissa hai
issey ab mat hataao tum,

Mairey Ja ’ney ki baatoN per
kabi wo hansta rehta tha,

Mairey Ja ’ney ki raatoN meiN usey ab mat hansa’o tum,

Tumhaari dairy k aakhri
auraa ’q meiN maiN tha,

Safhey yuuN to na phaa’ro
tum mujey yuuN na mitaa’o
tum,

KahiN sehra kahiN sahil kabi
mitti kabi paa ’ni,

Mujey Jo CheezeiN baksheeN
thin use say ghar bnaa ’o tum,

WahiN per hooN maiN waisi
hooN ab aa ’ey ho tu ruk
jaana,

ThakaN ki dasta’N apni mujey ab mat sunaa’o tum...

KHUWAB BAN KAR TERI AANKHON MIN UTARTA DIKHO!

Apanii rusavaa_ii tere naam
ka charchaa dekhuu.N

Ek zaraa sher kahuu.N aur
mai.n kyaa kyaa dekhuu.N

Niind aa jaaye to kyaa
mahafile.n barpaa dekhuu.N

Aa.Nkh khul jaaye to
tanhaa_ii kaa sahara
dekhuu.N

Shaam bhii ho ga_ii
dhundhalaa ga_ii aa.Nkhe.n
bhii merii

Bhuulani vaali mai.n kab tak
teraa rastaa dekhuu.N

Sab zide.n us kii mai.n puurii
karuu.N har baat sunuu.N

Ek bachi kii taraha si usi
ha.Nstaa dekhuu.N

Mujh pe chhaa jaaye vo
barasaat kii Khushbuu kii
tarah,

Ang ang apanaa usii rut me.n
mahiktaa dekhuu.N

Tuu merii taraha se yaktaa hai magar mere habib

Jii me.n aataa hai ko_ii aur
bhii tujh saa dekhuu.N

Mai.n ne jis lamhe ko puujaa
hai use bas ek baar

Khvaab ban kar terii
aa.Nkho.n me.n utarataa
dekhuu.N

tuu meraa kuchh nahii.n
lagataa hai magar jaan-e-
hayaat,

jaane kyo.n tere liye dil ko
dha.Rakataa dekhuun..

KUCH DOOR HAMARI SATH CHALO HAM DIL KE KAHANE KEH DIENGI!

Kuch door humare saath
chalo hum dil ke kahaani keh
deingi,

Samjhe na jise tum aankhon
se wo baat zubaani keh
deinge,

Phoolon ke tarha jab
honton pe ik shokh tabasum
bikharegaa,

Dheeray se tumhare kano
mein ek baat puraani keh
deinge,

Izhaar-e-wafaa tum kiya jano
iqraar-e-wafaa tum kiya jano

Hum zikar karenge gairon
kaa aur apni kahaani keh
deinge,

Mausam too baraa hee zaalim hai toofan uthaata rehta hai,

Kuch log magar is hal-chal ko bud-mast jawaani keh deinge..

YI ANKHEIN AAINAY MIN DIKHOON TO AAINA BOL PARTA HI!

Meri aankhon main na jhanko ke ab un main asaib ka daira hey,

Main apni ankhoon se khud hi
nazrein churati hon,

Yeh ankhein aainay main
dekhoon to aaina bol parta hey,

Kahan hey woh husn ki jhalkian,

Kahan hey woh narm se hontoon pe ik shokh si muskaan ka pehra

Kahan gaey jo teri palkon pe
rakhey they woh nazuk abgeeno se sapnay,

Kahan pe kho gai siyaah
palkoon ke halon main
do jheel si ankhein,

Aaina pochta hey wo jo dil tera tha muhabbat ka istearaa tha,

Kahan hai kho gaya bolo
tere lams sey har dam
jo qurbatoon ki mehek aati
thi,

Kahaan luta aai ho wo bolo!!

kahan gai woh hathailiyaan
jin ki lakeeroon se kisi ka
naam bunti thi,

Teri soochoon main behta tha wo kisi ki yaad ka darya,

kahan hai ab bhalaa bolo
jahan tu nazar karti thi
her aik manzar main jo tum
ko usi ka aks dikhta tha,

kahan hai ab bhalaa boloo
main aainay se kehti hon,

Wo husn ki jhalkian, narm
honton ki hansi sab uske karan thi,

Wo hai kho gaya dekho nazuk abgeenon se sapnay,

Main ne toor dalay hain do jheeel si ankhon ko ab
sulaa dalaa,

Muhabbat isteara dil lahoo
rota hai ab dekho,

Wo lams qurbaton ki mehek
ka,

Hijr raaton main jal bujha
dekhoo,

wo naam jo buna karti thi
junoon main wo naam to merey hathon ki lakeeroon main kabhi tha hi nahi

Sabhi manzar bhula dalay,
sabhi manzar sulaa daalay
kisi ki yaad ke darya si
sochoon main,

Ab asaib thehrey hain ab ankhoon main koi shaam
muskurati nahi,

Wahaan ab ashk rehtey
hain..

TUMHIN MALOOM HI

ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Tumhain Maloom Hai Hum Ne
Kisi Ke Hijr Main Ye Zindagi
Kesay Guzari Hai,

Her Ek Khushbu Ki Aahat Per
Gumaa ’n Uska Guzarta Hai

Her Ek Saa’at Pe Dil Aankhon
Main Aa Ker Baith Jata Hai

Kae Pehlo Badalti Khuahishain Haathon Ko Phelaye Dua ’ain Maangti Aur Haanpti Dil Se Guzarti Hain,

Magar Jo Hijr Lahaq Hai
Wo Jism-o-Jaan Ki Dewarain
Girata Hai,

Umeed-o-Beem Ki Aankhon Se Beenai Ke Saray Manzaron Ko Khaak Kerta Aur Mitata Hai,

So Hum Bhi Khaak Hain
Aur Khaak Ki Qisamat Main
Likha Hai Be-Amaa ’n Rehna..!

MERI ZINDGI JO BACHI HI AB TERI NAM ESKO KHUDA KARI

Meray dil ki hai yehi arzoo
mujhay too hi bus mila karay,

Yunhi chaahay mujh ko
taamam umar na shikaitain
na gila karay,

Meri chahtain, meri khwahishain, meri zindagi hai teraay liye,

Meri rub say yehi dua hai
bus tujhay koi na mujh say
juda karay,

Meray khwaab meray ye rut
jagay meri neend bhi hai
teray liye,

Meri zindagi jo bachi hai ab
teray naam is ko khuda
karay,

Mujhay zindagi say gila nahi
mujay tujh say bus yehi a’as
hai

Mai bhi chahoo’n tujh ko sada yunhi too wafa karay ya jafa karay,

Ye wo faaslay hain meray
sanam jinhay koi bhi na mita
saka,

Ye to feslay hain naseeb kay
inhay kasay koi mita karay,

Meri zindagi mai khizaan hai
bus na bahar kabhi asaki,

Yehi ashq mera naseeb hain
koi gul khushi ka khila karay..

AGAR MIN ROOTH JAOON TO!

ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Meri aa’nkhooN pe marta th,
meri baatooN pe hasta tha

Na janey shakhs tha wo kaisa,
mujhe khoney say derta tha,

Mujhe jab bhi wo milta tha
yehi her bar kehta tha,

Suno!!!!!
Agar main bhool ja’ooN tu
Agar main rooth ja’ooN tu
Kabi wapis na aa’oun tu
Bhula paa’oo gay ye sab kuch
Yuunhi hansty raho ge kia
Yuunhi sajtey raho ge kia
Yehi batein haiN bas uski
Yehi yaadein hain bas uski
Mujhe itna pata hai bas ……!
Mujhe wo pyar kerta tha,
Mujhe khoney se derta tha..

AKS

aur kuchh dair maiN luT jaaey ga har baam pe chaand,

aks kho jaaeN gay, aaeenay
taras jaaeN gay,

arsh kay deeda-e-nam-naak
say baari baari sab sitaaray sar-e- khaashaak baras jaaeN gay,

aas kay maaray thakay
haaray shabistaanoN meiN

apni tanhaai samayTay ga
bichhaaey ga koi
bay-wafaai ki ghaRi,

tark-e-madaaraat ka waqt
us ghaRi apnay siva yaad na
aaey ga koi,

tark-e-duniya ka samaaN,
khatm-e-mulaaqaat ka waqt
us ghaRi ay dil-e-aawaara,
kahaaN jaao gay?

us ghaRi koi kisi ka bhi nahiN
rehnay do koi is waqt milay ga hi nahiN rehnay do,

aur milay ga bhi to is taur ke
pachhtaao gay us ghaRi ay dil-e-aawaara kahaaN jaao gay?

aur kuchh der Thehr jaao ke
phir nishtar-e-subh zakhm ki tarah har ek aankh ko baydaar karay,

aur har kushta-e-waa- maandgi-e-aakhir-e-shab
bhool kar saa ’at-e-dar-
maandgi-e-aakhir-e-shab
jaan pehchaan, mulaaqaat pe israar karay.
Havaa nazar ke tahi dariichoN main jaane wale ko dhooNdati hai

gul-e-tamasha, na jaane kab
aur kahaN se phooTe!

har ik manzar pey uski
khushbu ne hairatoN ke alam
GaaRe haiN,

talaash raste bohat kaRe
haiN kahiN se shams-e-muraad ubhare tou sehar-e-shab haaye kohar TuuTe
bikhharte khavaaboN ka
saath chuuTe guzarte lamhoN ka rasta bhii ajiib jaduu ka silsila hai ke maiN khhaRa houN ke chal reha houN

kabhi vo ghogha ke baat
mushkil kahiN vo aalim ke saaNs aTke

kahiN havva se nijaat mushkil
har aik saaye maiN uska
pekar ajiib jaadu jaga reha
hai,

ussi ki khushbu har aik
manzar ki zindagi hai
ke jis ki farqat ke sard
waqfe ne aarzu ke jahaan
luuTe

gul-e-tamaasha na jaane kab aur kahaN phuuTe

hvva nazar ke tahi dariichoN
maiN jaane wale ko
dhoondhati hai.
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

BEWAFA

Hamarey Daramiyan Aisa Koyi Rishta Nahin Tha

Terey Shaanon Pey Koyi
Chhatt Nahin Thi..

Mere Zimmay Koyi Aangan
Nahin Tha,

Koyi Wada Teri Zanjeer-e-Pa
Banney Nahin Paya,

Kisi Iqarar Ney Meri Kalaayi
Ko Nahin Thama,

Hava-e-Dasht Ki Maanind
Tu Azaad Tha,

Rastey Teri Marzi Ke Tabey
Thay,

Mujhe Bhi Apni TanhaI Pay
Dekha Jaye To Pura Tasarruf Tha,

Magar Jab Aaj Tu Nay Raasta Badla To Kuchh Aisa Laga Mujh Ko,

Ke Jaise Tu Nay Mujh Se
Bewafayi Ki

kahin sung mai bhi hai roshni
kahi aag mai bhi dhu ’aan nahi,

ye ajeeb shehr-e-tilism hai!
kahi admi ka bhi nishaan nahi,

na hi is zameen kay naseeb
mai na hi asma ’an kay faraz mai,

kati umar is ko talashtay, jo
kahi nahi par kaha nahi?

ye jo zindagni ka khail hai,
gham-o-inbasat ka mail hai,

usay qadar kya ho bahaar ki
kabhi dekhi jis nay khizaa’n
nahi,

woh jo kaat maray par na
jhuk sakay jo na maqtoolon
say bhi ruk sakay,

koi aisa sir nahi dosh par kisi
monh mai asi zubaa ’n nahi,

jo thay ashq mane woh pee
liye lab-e-khuskh shookhti
see liye,

meray zakhm phir ayaa ’n
rahay mera dukh phir bhi
nehaa ’n nahi,

nahi is ko ishq say wasta woh hai aur hi koi rasta,

agar is mai dil ka lahoo nahi
agar is mai jaan ka ziyaa ’
nahi,
IBNAY INSHA
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

MUHABBAT MAT KAHO ESKO

Ab is main jhoot shaamil hai
Mohabbat mut kaho is ko
Imaarut dil ki girnay do

Taaluq toot jaaney do
Ki jo deewaar apney bojh
se girney pe aa jaey,

Diiey ki lau se is deewaar ko
phir thaamna kaisa Hawa ka saamna kaisa,

Buhat kumzor sa such hai
Isey ab bujh hi jaaney do,

Mohabbat mut kaho is ko
Samjh lo sardiyoon ki dhoop
jaisa such mohabbat hai,

Panaah-e-zaat ki aagoosh
main simtay huay such main
Ajub si surd mehri hai

Ki Ju ThiThray howau lufzon ko hidut nahi dey sakti,

Sulagti raakh ko aatish ki
shidut dey nahi sakti,

Mager such bolna to hai
Andhera phailna to hai,

Ab is se paishtur keh
munjamid taareekiyaan utrain,

Aur apne neelgoo ’n honton
ko se ker dhoop surma ki,

Kisi ki bolti ankhoon mein
chumkey aur mur jaey,

Rutain weeraan kerjaey
Usey ab laut jaaney do

Mohabbat mut kaho is ko
Mohabbat mut kaho is ko

Ghanairay junglon ki
raastay ka such mohabbat
hai,

Sunehri ghaas pe soti huwi
punkhnriyon ka such

Mujassam baankpun ashjaar
se lipti howi badlain.

Ki jo apni namo ki
gungunaahut hi se durti hai,

Dabay paaon guzarti hain
Inhi ki aajzi ka such mohabbat hai,

Mager tehro zara soocho !
Ager yeh raastay

punkhriyaan Mahaz harf-e-tasalli hon,

Kisi ki muskuraahut hon
Kisi k door jaatay bhaagtay
qudmoon ki aahat hon,

Hawa ki sursuraahat hon

Ya aisa khwaab jis ko
aakhirish aankhain bhula
daalain

Ya aisa khat jisey likhain
mager likh ker jala daalien,

To phir aey hum nufs!
Yeh maan lo yeh such nahi
kyun k,

Ab is main jhoot shaamil hai
MOHABBAT MAT KAHO IS KO..ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

MUHABBAT SAMANDR HI

Kisi ne kaha muhabbat kya
hai

Samandar ne kaha.
Mohabbat samandar ki

gairhaiyo main chupi hue ik
ispet hai

Jis main chahat jaisi anmol
moti mojood hain

Badal ne kaha.
Mohabbat ik dhanak hai jis
me har rang nomayan hai

Shaa'er ne kaha.
Mohabbat ik aisi ghazal hai
jo Har ek sun ne wale ke dil
main utar jati hai

Maali ne kaha.
Mohabbat gulshan ke phool
ke woh dilkash khushboo hai
Jis me sara gullshan mehkta
hai Aankhon ne kaha.

Mohabbat aansoo ka samandar hai jo kisi ke
Intezar main khamoshi se
baitha hai

Naseeb ne kaha.
Mohabbat karne wala is
duniya ka khush kismat
insaan hai,
Aur jis ke dil me mohabbat nahin
Who is duniya ka badtareen
insaan hai,
Dil ne kaha..
Mohabbat Kisi KO khamoshi
se chah Jane ka naam hai

Nafrat ne kaha.
Akhir jeet mohabbat ki hoti
hai...

MUHABBAT

Ajab Din Thay Mohabbat K
Ajab Mousam Thay Chahat K

Kabhi Gar Yaad Aa Jain Tu
Palkoon Pay Istaray
Jhimilatay Hain,

Kisi Ki yaad Main Jaagna
Maamool Tha Apna,

Kabhi Gar Neend Aa Jati Tu
Hum Yeh Sooch Letey
Thay,

Abhi Tu Humaray Wastay
Rooya Nahin Ho Ga
Abhi Sooya Nahin Ho Ga

Abhi Hum Nahin Rootay
Abhi Hum Nahin Sootay
So Phir Hum Jagtay Aur Us
Ko Yaad Kartay Thay

Akelay Beth Kar Weeraan Dil
Aabaad Kartay Thay
Humaray Samnay Taaroon Ki
Jhurmat Main Akela Chaand
Hota Tha,

Jo Is K Husn K Aagay Buhat
Hi Maand Hota Tha,

Falak Pay Raks Kartay
Unginat Roshan Sitaaroon Ko
Jo Hum Tarteeb Detey Thay

Tu Us Ka Naam Banta Tha
Hum Aglay Rooz Jab Miltay
Tu Gusri Ki Har Bekaali Ka
Zikar Kartay Thay

Har Ek Qissa Sunatay
Thay,

Kahan Kis Waqt Kis Tarhaan
Say Dil Dharka Batatay
Thay,

Main Jab Kehta Ki "Jaana"
Aaj Tu Raat Ko Main Ek Pal
Nahin Sooya

Tu WOh Khamoosh Rehti Thi
Par Us Ki Neend Main Doobi
Huey Do Jheel Si Aankhain
Achanak Bool Uthti
Theen,

Main Jab Us Ko Batata Tha
Ki Main Nay Raat Roshan
Sitaaroon Main Tumhara
Naam Dekha Hai,

Tu Woh Kehti Thi K Tum
Jhoot Kehtay Ho,
Sitaaray Main Nay Dekhay
Hain Aur In Roshan SItaaroon
Main Tumhara Naam Likha
Tha,

Lagta Hai Ab Apnay Sitaaray
Mil Hi Jayein Gain
Magar Us Ko Khabar Kia Thi
Kinaaray Mil Nahin Saktay
Mohabbat Ki Kahani Main

Mohabbat Karnay Walay K
Sitaaray Mil Nahin Saktay....

MUHABBAT KIS KO MILTE HI

Muhabat kiss ko kehtay hain

Hamay tum nay sikhaya tha

Ibadat kis ko kehtay hain

yeh bhi tum nay bataya tha

Magar jab hum muhabat ki

kisi wadi main khoya thay
Suhanay khawab mairi jaagti
ankhoon main soyay thay

Hamain tanha kiya tum ne
koi awaz tak na dee

Humhain dhoondha bohat
sapnay sajati mairi aankhooN ne

Buhat khushfehmian palay
Buhat hi door ja niklay

Jahan say loot anay main
Hamay ik umer lagni thee

To uss damm aik pal socha!
K kyun na hamm kuch door aur ja bhatkain,

Kisi nayi oor ja niklain

Kisi kay sath phir hum bhee
Khail muhabat ka phir khailain,

Kisi ka toor dain dill hum
Kisi ko sooz main daikhain

Magar mushkil pari hum ko
Keh hum pathar nahen
balkay dharakta dill hi
rakhtay hain..