Catogry

Tuesday, December 14, 2010

SAB KUCH WUHE TO HI!

Kuch bhi to nahe badla
Aaj bhi sab kuch wohi to hi

Wohi aasmaan wohi baadal
wohi aansoo
Wohi raat
wohi yaadain
wohi andhira
wohi shaam
wohi shama
wohi aarzoo
Dharti bhi
ard bhi wohi,

gaggan bhi samaan bhi wohi

Kuch bhi to nahe badla

Aaj bhi sab kuch wuhi to hai…

Wuhi tanhayee wuhi weeraani
wuhi san ’naatta
Wuhi falak wuhi sitaray wuhi
beqaraari

Wohi faaslay wohi dooreyaan

wohi ajnabeyyat
Tum ab bhi waheen ho jahaan hamaisha thee

Kuch bhi to nahee badla

Aaj bhi sab kuch wuhi to hai

Wohi dil wohi jaan wohi
dharkan

Wohi tasveer wohi khwahish
wohi armaan
Wohi baat wohi khushboo
wohi rang

Mein ab bhi waheen hoon aur
tum ab bhi waheen

Kuch bhi to nahe badla

Aaj bhi sab kuch wohi to hai

Wohi pyar wohi zindagi wohi
muhabbat
Wohi geet wohi ghazal wohi
naghma

Wohi mausam wohi phool wohi mehak

Mere leye tum aaj bhi wohi
ho kal bhi wohi rahogi

Kuch bhi to nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi to hai

Wohi galiyyaan wohi koochay
wohi makaan

Wohi tamanna wohi ek baam-o-dar

Wohi aas wohi aik hi raah
guzar Raahain aaj bhi tumhein hi
pukaara karti hain

Kuch bhi tau nahee badla
Aaj bhi sab kuch wohi to hai

Zindagi ke ye lamhay aaj bhi
waheen kharay hain

Chand gharreyyoo pe wakt
jaise ruk gaya ho

Manzil ke rastay mein ye
morr aaj bhi sadayain dete
hain

Mera aaj bhi wohi hai jo mera kal thaa

Kuch bhi tau nahee badla

Aaj bhi sab kuch wohi to
hai..

No comments:

Post a Comment