Catogry

Tuesday, December 14, 2010

THAKAN KE DASTAN APNE MUJHI AB MAT SUNAO TUM!

Mujhey aaram karney do
mujhey ab mat sataa ’o tum,

Thakan sadiyon ki hai mujh ko mujhey ab mat jgaa ’o tum,

Miri khamosh aa’nkhoN say
koi qi’sa na kehna tum,

Miri khwa’bon meiN sehra
haiN mujey ab mat rulaa’o
tum,

Dukhon ki ikk kahaNi thi usi
ka aakhri hissa,

Bohat arsey say jaari tha
ussey ab mat dohraa ’o tum,

Mirey viraaN kamrey meiN
teri tasveer ab b hai,

Ye ab kamrey ka hissa hai
issey ab mat hataao tum,

Mairey Ja ’ney ki baatoN per
kabi wo hansta rehta tha,

Mairey Ja ’ney ki raatoN meiN usey ab mat hansa’o tum,

Tumhaari dairy k aakhri
auraa ’q meiN maiN tha,

Safhey yuuN to na phaa’ro
tum mujey yuuN na mitaa’o
tum,

KahiN sehra kahiN sahil kabi
mitti kabi paa ’ni,

Mujey Jo CheezeiN baksheeN
thin use say ghar bnaa ’o tum,

WahiN per hooN maiN waisi
hooN ab aa ’ey ho tu ruk
jaana,

ThakaN ki dasta’N apni mujey ab mat sunaa’o tum...

No comments:

Post a Comment