Catogry

Tuesday, December 14, 2010

MUHABBAT MAT KAHO ESKO

Ab is main jhoot shaamil hai
Mohabbat mut kaho is ko
Imaarut dil ki girnay do

Taaluq toot jaaney do
Ki jo deewaar apney bojh
se girney pe aa jaey,

Diiey ki lau se is deewaar ko
phir thaamna kaisa Hawa ka saamna kaisa,

Buhat kumzor sa such hai
Isey ab bujh hi jaaney do,

Mohabbat mut kaho is ko
Samjh lo sardiyoon ki dhoop
jaisa such mohabbat hai,

Panaah-e-zaat ki aagoosh
main simtay huay such main
Ajub si surd mehri hai

Ki Ju ThiThray howau lufzon ko hidut nahi dey sakti,

Sulagti raakh ko aatish ki
shidut dey nahi sakti,

Mager such bolna to hai
Andhera phailna to hai,

Ab is se paishtur keh
munjamid taareekiyaan utrain,

Aur apne neelgoo ’n honton
ko se ker dhoop surma ki,

Kisi ki bolti ankhoon mein
chumkey aur mur jaey,

Rutain weeraan kerjaey
Usey ab laut jaaney do

Mohabbat mut kaho is ko
Mohabbat mut kaho is ko

Ghanairay junglon ki
raastay ka such mohabbat
hai,

Sunehri ghaas pe soti huwi
punkhnriyon ka such

Mujassam baankpun ashjaar
se lipti howi badlain.

Ki jo apni namo ki
gungunaahut hi se durti hai,

Dabay paaon guzarti hain
Inhi ki aajzi ka such mohabbat hai,

Mager tehro zara soocho !
Ager yeh raastay

punkhriyaan Mahaz harf-e-tasalli hon,

Kisi ki muskuraahut hon
Kisi k door jaatay bhaagtay
qudmoon ki aahat hon,

Hawa ki sursuraahat hon

Ya aisa khwaab jis ko
aakhirish aankhain bhula
daalain

Ya aisa khat jisey likhain
mager likh ker jala daalien,

To phir aey hum nufs!
Yeh maan lo yeh such nahi
kyun k,

Ab is main jhoot shaamil hai
MOHABBAT MAT KAHO IS KO..ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

No comments:

Post a Comment