Catogry

Tuesday, December 14, 2010

MUJHI ZINDGI KA ALAM NAHIN

Merii zindagii pe na muskaRaa

Mujhe zindagii kaa alam nahiiN

jise teRe Gam se ho vaastaa
vo Khizaa’N bahaaR se kam
nahiN

MeRaa kufr haasil-e-zuud hai

MeRaa zuud haasil-e-kufR hai

Meri bandagii vo hai bandagii
jo rahiin-e-daiR-o-haram
nahiN

Mujhe raas aaye Khudaa
kare yahi ishtibaah kii
saa_ate ’N

UnheiN aitabaaR-e-vafaa to
hai mujhe aitabaaR-e-sitam
nahiN

Vahi kaar ’vaa’N vahii raaste
vahi zindagi vahii maR’hale

magar apane-apane muqaam paR kabi tum nahiN kabi ham nahiN,

Na vo shaan-e-jabr-e-shabaab hai na vo rang-e-
qahaR-e-itaab hai

Dil-e-beqaRaar pe in dinoo’N
hai sitam yahii ki sitam nahiN

Na fanaa meRi na baqaa meRi mujhe ai ‘Shakeel’ na
Dhuu.N Di

MaiN kisi kaa husn-e-Khayaal
huuN meRaa kuch vujuud-o-
adam nahiN..

No comments:

Post a Comment