Catogry

Tuesday, December 14, 2010

AKS

aur kuchh dair maiN luT jaaey ga har baam pe chaand,

aks kho jaaeN gay, aaeenay
taras jaaeN gay,

arsh kay deeda-e-nam-naak
say baari baari sab sitaaray sar-e- khaashaak baras jaaeN gay,

aas kay maaray thakay
haaray shabistaanoN meiN

apni tanhaai samayTay ga
bichhaaey ga koi
bay-wafaai ki ghaRi,

tark-e-madaaraat ka waqt
us ghaRi apnay siva yaad na
aaey ga koi,

tark-e-duniya ka samaaN,
khatm-e-mulaaqaat ka waqt
us ghaRi ay dil-e-aawaara,
kahaaN jaao gay?

us ghaRi koi kisi ka bhi nahiN
rehnay do koi is waqt milay ga hi nahiN rehnay do,

aur milay ga bhi to is taur ke
pachhtaao gay us ghaRi ay dil-e-aawaara kahaaN jaao gay?

aur kuchh der Thehr jaao ke
phir nishtar-e-subh zakhm ki tarah har ek aankh ko baydaar karay,

aur har kushta-e-waa- maandgi-e-aakhir-e-shab
bhool kar saa ’at-e-dar-
maandgi-e-aakhir-e-shab
jaan pehchaan, mulaaqaat pe israar karay.

No comments:

Post a Comment