Catogry

7 Poets

fitrat apne dil ki ab hum
badal lenge,
ab na kisi ki jindgi mein yaar
dakhal denge.
rehne lage hain aakar tere
shahar mein to kya,
milenge wo raah mein to
raaho ko badal lenge.
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
kabhi hum ko ye duri ye
tanhayi
bahut yaad dilati hai tumhari
,
ankhon me aansu lati hai
hamari
narazgi hu tumse thori si
,
pareshani bhi hai choti si
akhir tum kyu humse itne dur
ho,
aur hum kyu tumhari khatir
itne majbur hain,
kyu mai tumhari chahat ki
aas lagati hoon,
tum ko apne maathe pe
sitarau ki tarah sajati hoon,
kyu tumhari choti si narazgi
bhi mujh se bardasht nahi
hoti.
tum manane to nahi aate
phir kyu mai naraz ho jati hoon,
kyu akhir kyu mai sapne
sajati hoon,
tumhari taraf se kuch bhi mil
jaye,
mai itni khush kyu ho jati hu
aisi kya baat hai tum me
ke tum sab se azeez ho gaye
ho,
akhir kyu mujhe tumhara hi
intizar rehta hai
najane kyu teri berukhi par
bhi mujhe tujh se pyar
rehtaa hai.!

_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Pari jo ek nazar hum dekhte
reh gaye,

Vaar hua katil muskaan ka
hum madhosh ho gaye,

Chahat ki chandani mein
bheega yun tan badan,

Hum kali se gulab ho gaye.

Teri adaon ka hua main
deewana is kadar,

Na waqt ka hosh na khud ki
khabar,

Na bhuk lage na pyaas bas
intezaar rahe tere didaar ka,

Har jagah har pal tujhe
dhundhti rahe meri nazar.

Aankhon mein nasha is kadar
khulne se mana kar diya,

Paimaane se chhalki ho raat
bhar sharab yun humein
behka diya,

Suraj ki kirane khel rahi yun
aftaabi chehre se,

Ki zulfon ne hi gir kar hum
par pehra kar diya.
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Jab bhi aye teri yaad sanam,
dil mein angaare bhadke
aankhein bhar aye,
dil pukare jaaneman tujhko,
har saans ke saath tera hi
naam zuban par aye.
Aaj mat rok khud ko
madhosh ho jane de,
pas aa apne nashe mein kho
jane de,
na au hosh mein na kabhi
meri saanson se teri mehek
jaye,
band kar le aankhein ab jo
hota hai ho jaane de.
SHAHZAD SHAKAR
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Baarish ki bunde deewana
banaye,
tan ko bhigoye mann ki aag
bharkaye,
aaj jai sajan dur humare
waqt ki baat hai,
par dil ko hum kaise
samjhaye.
_-_
Labon par aye woh naam ho
tera,
bheju jo woh paigaam ho
tera,
aankhein jo dekhe woh
khawab ho tera,
dhadkan kare jiska intezar
woh intezar ho tera.
SHAHZAD SHAH
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Tamanna hai labon ko chum
lun saanson mein bas jau,

Tu ho meri aaghosh mein,

Main
teri dharkano mein bas jau,

Nahi dharka tera jo dil use
aa kar main dharkau itni
ijazat do,

Kar saku didaar tera kar
saku pyaar tujhe itni ijazat
do.
SHAHZAD SHAH
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Dil ne tere ek baar di awaaz
lo main aa gaya,

Baahon mein tune liya kaisa
nasha chha gaya,

Lab se lab ko tune yun
chhuwa dil machalne laga,

Pyar se tune yun dekha teri
aankhon mein kho gaya,

Tere khayalon mein yun
khoya duniya bhul gaya,

Chaha tune mujhe is kadar
deewana ho gaya,

Basaya tujhe dharkano mein
ki zindagi ka har lamha tera
ho gaya,

Saanson mein basaya tune is
kadar ki dil tere naam ho
gaya.
SHAHZAD SHAH
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Hamesha harek arzoo puri
nahi hoti
,

Har chahat mukaam-e-
justujoo nahi hoti
,

Jiske zindagi ki raah mein aap
jaisa dost ho
,

Uski koi khwaish kabhi adhuri
nahi hoti
,
SHAHZAD SHAH
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
But The Great Galib Says :
Hazaron Kwahishe aisi
Ki har Kwahish pe dam Nikle,

Bahut Nikle, Mere arman,
Lekin, phir bhi kam Nikle,

Nikalna Khuld se aadam ka
sunte aaye hai lekin,

Bare Be aabru ho ke
Tere kuchhe se hum Nikle.
SHAHZAD SHAH
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Rulana har kisi ko aata hai
hansana kisi kisi ko aata hai
,

Rula ke jo manale wo sacha
yaar hai
,

Aur rula kar jo khud bhi ansu
bahaye
wo sacha pyar hai.
SHAHZAD SAH
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Ek raah ek manzil ke saathi
hain,
fir kyu alag alag baithe
hain,

Jante hain ek doosre ko lekin,
berukhi ki jinda misaal bane
baithe hain,

Muskuraate hain hum par
dard liye baithe hain,
hanste jakhmo ko hum apne
siye baithe hain,

Is garmi ki sard dhoop me bhi
o mere jaanib,
tere diye do char khat liye
baithe hain..!
SHAHZAD SHAH
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Usko chaha bhi to izhaar
karna na aaya,
lut gaye hum magar pyaar
karna na aaya,

Usne maangi bhi to judaai
mangi ,
aur ek hum the ke inqaar
karna na aa
ya..!
SHAHZAD SHAH
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Ek baar yeh gunah karke
dekhenge
,
hum bhi dil laga ke dekhenge

Suna hai mohabbat zindgi
tabah karti hai
,
hum bhi khud ko mita ke
dekhenge
,

Suna hai ishq ek aag ka
dariya hai
,
hum bhi khud ko jala ke
dekhenge
,

Suna hai raaten karwaton me
guzarti hain,
is pyar me
hum bhi apni neende uda ke
dekhenge
,

Suna hai ek ajeeb sa nasha
hai yeh chahat
,
hum bhi apne hosh gavaan ke
dekhenge,

Suna hai kho jate hain aksar
pyar karne wale
,
hum bhi khayalon ki mehfil
saja ke dekhenge
,

Hum bhi dil laga ke dekhenge
SHAHZAD SHAH
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Mumkin kanha tha us jaanib
se kuch kehna ,
Sara nasha to uski nigaho
mein chipa tha,

Saamne to aaye kai saje
bane chehre,
Par sara husn to uski saadgi
mein chipa tha,
MUMTAZ ASLAM
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Cho le jo ye qalam tum
ko Shayari banjaye,

Hazaar rang ho jismain wo
tasweer banjaye,

Bas yehi soch ke ghabraata
hai ye dil,
Kahin ye nazar na
meri ghustakh banjaye
MUMTAZ ASLAM
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Wo to har baat ko chupane
wale the ,
par khamoshi ne sab bayaan
kar diya,

Jo fasanaa rah gaya tha
humare hoton par ,
unhone to wo aankho se
bayaan kar diya,

wo sharm wo haya wo saadgi
unki ,
laga yun ke hoor_e_jannat
ka deedar kar liya,

Har saans pe wo dharkan ki
tarah yaad aate rahe ,
ab to lagne laga ke humne
'haseen gunaah' kar liya,

Lafjo tak hi nhi khatm hui thi
baat ,
ke khwabo mein bhi unka
deedaar kar liya,

Har kalam to ab uthti hai
unke hi liye ,
humne apni har nazm ko
unke naam kar diya,
MUMTAZ ASLAM
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Kandhe par tumhare julfo ka
leherana
,
Na na karke mere bahoo me
tut jana
,

Muskurake nazar yunhe
jhukana
,
Aur ek hi pal me sab kuch
lutana
,

Us ada ko na saka bhula na
hotho se honth ko milana
aur meetha sa dard ko
sah lina
,

Chahata hoon phir ek raat
gujarna
Aao pyaar kare hum dono
tut kar
,

Sare jaha ko kuch pal ke liye
bhulkar
,
Dil ki pukar hai inkar na kar
tere liye jita hoon aa pyaar
kar
,
MUMTAZ ASLAM
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Har kisi ko mila hai yaar,

magar mujhe intezaar
rahega.

Na deedar milta ho roj
unka,
magar dil main pyaar
rahega.

Banjaayenge wo ghar ki
zeenat,
chand dino main sahil
Sawaarenge is dil ko

Muskuraake khushi se
Beet jaayeng ye din bhi,

magar mujhe intezaar
rahega.
.!
MUMTAZ ASLAM
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Dekhte dekhte husn nikher
gaya
,
karte karte dil bikhar gaya
,

Aasmaan ko chune ki thi
chahat humko
,
najane chand kis badal mein
simat gaya
,

Buht bechaini si hai aaj dil
mein mere
,
najane kaun sa gham aaj is
mein simat gaya
,

Kai baar huyi hai khata is dil
-e-nadan se
,
najane wo aaj kaun sa gunna
ker ke nikel gaya,

Hum jo kehte the unko apna
mehboob,
najne kaun hai wo
meri to bas manoo ki dil-o
-jaane mein uther gaya
,

Aaj meri bebasi na puchoo
muhjh se dostoo
!
Main to aaj jee te jee samjho
mar gaya..!
MUMTAZ ASLAM
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-

Teray siva nahi mujhko koi
parva,
kho jau sub kuch na khona
tujhay,

Mit jau is jahaan say bhi to
koi gham nahi,
kyun kay jaan di huvi bhi aap
hi ki hai..!
MUMTAZ ASLAM
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Teri zulfon mei kho janey ko
jee chahta hey
,
tere gulabi honto mei doob
janey ko jee chahta hey
,

Ab to buhat thakk chuka
hoon mei is weran zindagi se
,
ab to tere seene pe sr rakh
k so janey ko jee chahta hey,
MUMTAZ ASLAM
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Aaj chand chhup ja badalo ke
aagosh mein,
ke aaj shab roshni to
noor_e_yaar se honi hai,

Jagmagana band kardo falak
ke sitaro aaj ,
ke aaj jagmagahat to uski
muskurahat ki honi hai.!

Kash ye shaam kuch der aur
thahar jaaye,
ke aaj barso baad usse
mulaqat honi hai.!

Wo ayenge to kaise
sambhalenge khudi ko hum,
ke aaj is raat to barsaat bhi
honi
hai..!
MUMTAZ ASLAM
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Wo kehte hain ke humko Aur
intezaar karna hoga,
Kuch paane ki khaatir,Kuch
to hame khona hoga,

Magar yaad rahe hume, aai
tarpaane wale,
Maajboor hokar hi sahi,tumhe
bahoon main aana hoga..!
MUMTAZ ASLAM
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Parayshan hain kay mohobbat
ki had say na guzar jaye,,,

Parayshan hai kay yeh
duriyaa pagal na kar jaye,,,,

Aarzu hai kay is parayshani k
aalam ki duva qubool ho
jaye,,,

Duva hai kay meray zubair ki
har parayshani dur ho jaye.....
ameen
MUMTAZ ASLAM
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Mere jaan meri zindagi ke
humsafar
banaya hai tu ne mujhe
,

Khushiyon se bakhabar
tu hasee tohfa hai khuda ka
to hai inaam meri dua ka
tu ne zindagi ko hai hasee
banaya
,

Shukr hai khuda ka ki us ne
tumko banaya mera saya..!
MUMTAZ ASLAM
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Jab bhi koyi shham
humne tanha bitayi hai,

Sach kaheta hun mujhe teri
yaad bohot aayi hai,

Jab tak na baha ashk sahil
ke in aankhon si,

Tab tak na chain na raat ko
neend aayi hai..!
MUMTAZ ASLAM
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Meri nigahau ko tere deedar
ki khwahish hai
,
mere dil ko tere saath ki
khwahish hai
,

Meri ulfat ka asar kuch yu
n
hua hai mujh pe
,
ke har pal tere pyar ki
khwahish hai
,

Tumhari sansau ki garmi
tumhare honton ki muskan,
tumhare pyar karne ki ada
ghayal kar gayi hai mujh ko
teri teere nigah
paa kar bhi tujh ko
tujh se dur hu
n,

teri chahat me sanam
mai majbur hu
n,
tere muhabbat me sanam
mai masroor hu
n..!

WALEED SHOUKAT
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Ab k waQt ki mohlat
khatm honey waali hey
,
khuwaab ke sabhi Taai ’r
aankh ke dareechey sey
gir k marney waaley heiN
sabz aas beloN ke ……
paat jhaRney waaley heiN
zindagi ke maathey par
zard paRtey hontoN sey
saans aakhri bossa
dey ke jaaney waali hey
kuch hi pal tou baaQi heiN
ab k waQt kii mohlat…….
khatm honey waali hey
kon shakhs aaya hey
khaawaab haath meiN
thaamey
ye yaQeeN dilaaney ko
agar meiN ruk jaaouN
gar zara si mohlat ho
,
Zakhm silney waaley heiN
Phool khilney waaley heiN
ussko kaesey samjhaaouN
uss ney deir kar di hey
kuch hi pal tou baaQi heiN
kuch hi pal tou baaqi they…
ab ke waqt ki mohlat……
ATIF ALI
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Kasey Kasey Na Muhabat
Main Zamane Aye
,

Aik Hum Thy Kah Na Hosh
Apny Thikane Aye
,

Bhool Betha Tha Jisey
Shidat_e_Ghum Se,

Us Ko
Merey Ahbab Mujhe Yaad
Dilaney Aye,

Mutmaeen Thy Ke Lagi Dil Ki
Sunain Gay Hum
,

Dost Jab Aye To Apni Hi
Sunanay Aye,

Hum Ne Socha Tha Keh
Chutkara Milay Ga Ghum Se
,

Dasht_o_ Sehra Se Bhi Kuch
Agey Zamany Aye
,

Her Taraf Phael Gai Unn K
Badan Ki Khushbu
,

Raat Chupkay Se Wo Jab
Merey Serhany Aye
,

Mundmil Honey Lagey Daagh
Jo Es Dil Ke Mager
,

Zakham Deney Ko Naye, Yaar
Puranay Aye
..!
ATIF ALI
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Kabhi is trha meray humsafer
,
Sabhi chahataiN meray naam
ker
,

Ager ho sakay to kabhi
kaheen
,
Meray naam bhi koi shaam
ker,

Meray dil kay sa’ay maiN aa
zara
,
Meri dharkanooN maiN qayam
ker,

Yi jo meray lafzooN kay
phool haiN
,
Teray rastay ke yi dhool
haiN
,

Kabhi in say sun meri dastaaN
,
Kabhi in kay sath qalam ker
..!
ATIF ALI
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Ab teri yaad se wehshat nahi
hoti muj ko.,
Zakhm khulty hein aziyyat
nahi hoti mujko,

Ab koi aaye chala jaye main
khush rehta hun,
Ab kisi shakhs ki aadat nahi
hoti mujko,

Aesy badla hon tery shehr ka
paani pe ker,
Jhoot boloon to nadamat
nahi hoti muj ko..
ATIF ALI
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Kabhi zid main hi tera ho
gaya,
kabhi dil ne tujhko
gawa diya,

Isi kashmakash mei jiye sanam
,
tune yaad rakha ya bhula
diya,

Kabhi be bassi me hi hans
diye kabhi hansi ne hum ko
rula diya,

Kabhi phool say rahi
berukhi,kabhi khaar say hath
mila diya,

Kabhi ik ko apna na ker
sake,
kabi khud ko sab ka
bana diya,

Yun hi din guzar gaye pyar
kay,
yu hi khuwab khud ko
bana diya,

Jo mila nahi wo mera hua, jise
kho diya use pa lia,

Ye ajeeb khel hain pyar kay,
ik khel se hi nibha lia,

Hai ajeeb shaan ki zindagi,
k
i main haarta raha jeet ker
jo khuwab ubhray they ankh
main unhain Aankh main hi
sula diya
..!
ATIF ALI
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Halqoom-e-samaa’t main
ugg aaye hain kante,
Ab Awaz ka ik qatra
laikin nahin mil pata

shabnam tere lehjay ki
kis tan main utarti hai

num teri hansi ka ab
kis tun ko bhigoota hai

main payaas se be-kal hoon
aur tere takallum ka !

ik ghoont nahin milta
iss qehat zada dil main

ab ke na khule shayed
ye payas samaa’t ki
jaan le ke tulay shayed !
ATIF ALI
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
ZameeN aur aasmaaN k
darmiyaaN phaeley manazir
meiN
,

Buhat aahistagi sey jab koi
khushbu bikhartii hey
,

To aankhoN meiN sitaaroN
ka ajab melaa saa lagta hey
,

hawaa sar-goshiyaaN pehney
dareechoN sey guzarti hey
,

koi khushbu bikharti hey
darakhtoN sey judaa hotey
be-khaanumaaN pattey
safar kaa aaghaaz kartey
heiN
,

to sapnoN par haqeeqat ka
koi par tau saa paRta hey
,

sabaa qos-e-qaza kii raah
meiN zeeney banaati hey
,

aur ik be-naam sii aahaT
dabey paaoN utarti hey
,

Koii khsuhbu bikharti hey
neyaa mosam puraaney
raastoN ki dhoohl sey
chehra uTthaata hey
,

To shbanam kaasa’e Gul
meiN kai sikey giraati hey
,

ZameeN pehloo badalti hey
koii khushbu bikharti hey

Buhat aahistagi sey phir terii
khushbu bikharti hey
..!
ATIF ASLAM
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
asiay he..
guzartay howe..
tehar gaya..
kia khayal hai?
kidr jana hai …?
kuch lag rha hai..
k kuch dekha dekha sa hai
ye rahi hum manzil tu nhi..
emmm nhi… tu phir chalo moeen…
loat chalian
ghar ko apnay…
bohut sham hoi
maa ’ ki ankhien rasta…
tak rhi hon ge…
chalo g
MOEN
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
koi baat esi kiya karo,
koi lafz
aisa kaha karo
,
mile jis se dil ko qaraar as koi
shair esa parha karo
nahin dukh main es ko rakha
karo,
kabhi sukh bhi esko diya
karo
,
Ye udas hai kayi roz se mere
dil main aa ke raha karo
,

Jo kathan kathan se hain
raaste,

Ye sabhi hain kyon
mere waaste
,
Ye jo jal raha hoon main aag
main,

kabhi tum bhi is main jala
karo
,
abhi ta ’q tumhari he aa’s hai
,

Mere dil ki ab bhi tu paas hai
,
hai ye dil tumhare hisaar
main,

isay meri jaan rihaa
karo
,
mera din ho ya meri raat ho,
faqat ek tumhari he baat ho
,

Abhi jesey tum mere saath
ho,
yunhi mere sath raha
karo
,
MOEN
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Wo Kehti hai maiN apney Dil
meiN Ik deewar Uthaon gi
,

Main kehta hooN k main Iss
baat ka matlub nahi samjha
,

Wo Kehti hai main aankhon
mein koi sehra basaa ’oon gi
,

Main Kehta hooN k bee’nayii
Jhulas jaa’ey gi,

Aisy tu
wo Kehti hai main pairron par
tumhara bakht likhooN gi
,

Main Kehta hooN pairron se
adawat hai tumhein koi
,

Wo Kehti hai main pani par
tera chehra bana ’oon gi
,

Main Kehta hoon mujhay
lagta hai tera dil bhi pani hai,

Wo mujh Se poochti hai tum
kisay mujrim samjhtey ho,

Main Kehta hooN usay Jo
dard k maani na samjha Ho
,

Wo mujh se poochti hai jhoot
aur sachayian kya haiN,

Main kehta hoon k niyyat aur
natayej ki pazeerayii
,

Wo mujh se poochti hai sab
se pehley kon rehta tha,

MaiN kehta hoon k andaza ya
mafrooza he mumkiN hai
,

Wo mujh se poochti hai koN
reh Ja ’ey ga duniya meiN
,

Main kehta hooN k bilkul Ik
naa ’ey aur ajnabi duniya
,

Wo mujh se poochti hai,
Junglon mein koN rehta hai
,

maiN kehta hoon vohi Jo
shehar meiN rehney se
kha ’yef hai
,

MOEN
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Apnay andeshoo’n ki barat
dekhatay kis ko
,
tum hi jub bhool gaye to
yaad atay kis ko
,

Uth gaye khud hi, dekha to
faqt ghair thay hum
,
ashna thay sabhi mehfil say
uthatay kis ko
,

Kuch muysaar na huwa apnay
hi zakhmo ’n kay siwa
muskuratay huway
,

Khuwaboo ’n mai sajatay kis ko
hum bhatakay hi rahay
shehar kay werano mai
n,

Apni tanhaye ka ehsaas
dilatay kiss ko?
MOEN
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Hyaat Key Ujrey Dyaar Mein
Kuch Taarekiyaan Abhi Aur
Hain,

Naseeb Key Bigrey Nisaab
Mein Kuch Talkhiyaan Abhi
Aur Hain
,

Main Ney Phir Sey Tinkey
Jorr Kar Socha K Banaaon Aik
Ghar,

Mujhey Tabhi Falaq Sey Nawa
Milli Key Wahaan Badliyaan
Abhi Aur Hain,

Yahi Dekh Ab K Teray Khwaab
Sab Kyon Dhal Gye Hain
Saraab Mein
,

Dil E Be Khabar Zara Hosh Kar
K Teray Imtehaan Abhi Aur
Hain,

Wo Daagh Yaadon Key Bad
Numaan Too Ney Mitaaye To
Hain Par Sab Nahi
,

Maseeha E Waqt Meray
Zehan Par Aisay Kuch Nishaan
Abhi Aur Hain,

Aey Toofan E Hawa Zara Phir
Sey Aa In Bastiyon Mein Har
Us Jaga
,

Jahaan Bach Gye Hain Chand
Ghareeb Aisey Kuch Makaan
Abhi Aur Hain
,

Main Chaahon Agar Bhi To Kis
Trah Supurd E Ajal Ho Jaaon
Abhi
,

Ki Is Soukhte Jaan Key Hisaab
Mein Qarz E Dostaan Abhi Aur
Hain,

Abhi Khwaahishon Mein Lagey
Raho Zara Saans Lainey Ko
Ruko Nahii,

Mujhey Hai Yaqeen Yahien
Aass Pass Naye Aasmaan Abhi
Aur Hain
,
MOEN
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Mera chaara-gar raha be-
khabar,

Wo to dooriyoN ko dawa
kahey,

MajbooriyoN ko raza kahey
,

Jo main an-kahi ko kahun
zeher
,
To wo aagahi ko saza kahe
,

Mera chaara-gar raha be-
khabar

Wuhi be-qaraari ki saa’atein
Wuhi be-samar meri
chaahatein
,

Nahin khaamoshi ko gumaan
bhi
K taras rahi hain samaa ’atein
,

Mera chaara-gar raha be-
khabar …
Iss shab ki koi sahar nahin
Mere dil pe uss ki nazar nahin,
Nahin merey bakht mein
chahatein,

In haqeeqatoN sey mafar
nahin
Mera chaara-gar raha
bekhabar..!
MOEN
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Suno jana!
Ye sachi baat bhe sun lo,
Mere sochoN k aangan main
tumhari yaad k jugno bouhat
be-jan lagty haiN
Woh tum pe nazm ka likhan,
tumhay ik bazm ka likhna
Woh apnay azm ka likhna,
Mujhay ab bore karty haiN..
Masail k kae Bachy mere
sochoN k aangan main,
bouhat he shoor karty hain
Tumhay taizee se jan-e-jan
bhulata ja raha hooN main …
Kae barsooN se mere maaN
ne jo ik khwaab daikha thaa
Mujhay woh khwaab lana hai.
Mere baba k kandhoN se
hamary bhoojh ka thaila abhi
girne he wala hai
Mujhay woh bhe uthana hai
main maaN ke khwaab ke
khatir, nae ik job ke khatir
Subah ghar se nikalta hooN
tu sara din pighalta hooN
Na tum rehti ho sochoN main,
na tera aks rehta hai
yahaN per tu masail ka
hameesha raqs rehta hai
jissay hum dhoop kehty haiN
yahaN woh sakhs rehta hai
mujhay woh sakhs jaan-e-jaN
bouhat he tang karta hai
main tum ko yaad karta
hooN, woh mujh se jang
karta hai
wahi ik sakhs jaan-e-jaN
mujhay sone nahi daita
tumhary hussn ke yaadoN
main ab khone nahi daita
mujhay maloom thaa jana
kabhi aisa tu hona thaa
tumhay ik din tu khona thaa,
mujhay phir khoob rona thaa
kabhi aisa tu hona tha…
MOEN
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
woh abar meray dasht-e-
tamana mai utarta
aye kash samandar bhi kabhi
dariya mai utarta
kirnoo ’n ki dhanak aurh kay
ek rooz achanak
woh mujh say bichar kar meri
dunia mai utarta
ek asks meray dil kay
darechay mai dharakta
ek khwab meri ankh kay
sehra mai utarta
bay noor na rahti shab-e-
hijraa ’n ki hatheli
woh jan-e-dua dasht-e-
tamana mai utarta
woh chand kisi mehal kay
khwaboo ’n ka muqadar
kyu meray bujhay ghar ki
tamana mai utarta
Javaid kisi shab meray
khwaboo ’n ka musafir
ankhoo’n say nikal kar dil-e-
tanha mai utarta
MOEN
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
Merey be-khabar
merey roz-o-shab k naseeb
meiN
terey baa ’d dard hi reh gaey
merii chaahtoN ki ameen jheel
k paaniyoN pe
Kanwal ka aik bhi phool kab
sey khila nahiN
kisi raaj-huns ney ……
chaahatoN ki koi kahaani
raQam na ki
kisi door-deis sey panchhiyoN
ka
MohabbatoN bhara Qaafla na
utar saka
kai abr lamhey guzar gaey
Meri pyaas pyaas hi reh gai
kisi uRtey Punchi k geet meiN
teri waapsi ki naveed ho
meri aas aas hi reh gai
teri qurbatoN ki tamaazteiN
meiN na chuh saki
Merey haath sard hi reh
gaey
Chali aesi hijar ki aandhiyaaN
meri shaakh-e-jaaN sey
tumhaarey lams k Phool
saarey hi jhaR gaey
kai mosamouN sey ye haal
hey
Meri Shaakh-e-jaaN na hari
huwii
aur Phool chunney ki chaah
meiN
merey haath meiN teri yaad
k
kuch barg-e-zard hi reh
gaey ….!
MOEN
_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-_-
ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

Ye safar bhi kitna taweel hai,
yahaan waqt itna qaleel hai
Kahan laut kur koi aaye ga,
jo guzar gaya su guzar gaya
Wo wafaeiN theeN k jafaeiN
theeN, na soch kis ki
khataaiN theeN
Wo tera hai ussay galay laga,
jo guzar gaya su guazr gaya
Koi farqaey shah o gada nahi
k yahaan kissi ki baqa nahi
Ye ujaaR mehlooN ki sun
sada, jo guzar gaya su guzar
gaya
Tujhay aytebaar-o-yaqeen
nahi, nahi duniya itni buri nahi
Na malal kur meray saath aa,
jo guzar gaya su guzar
gaya…
MOEN

ßý: Ghû£åm Å£í
0344=3888256
å£ì.ßùrìrø207@gmäî£.cøm

No comments:

Post a Comment