Catogry

Tuesday, December 14, 2010

YI ANKHEIN AAINAY MIN DIKHOON TO AAINA BOL PARTA HI!

Meri aankhon main na jhanko ke ab un main asaib ka daira hey,

Main apni ankhoon se khud hi
nazrein churati hon,

Yeh ankhein aainay main
dekhoon to aaina bol parta hey,

Kahan hey woh husn ki jhalkian,

Kahan hey woh narm se hontoon pe ik shokh si muskaan ka pehra

Kahan gaey jo teri palkon pe
rakhey they woh nazuk abgeeno se sapnay,

Kahan pe kho gai siyaah
palkoon ke halon main
do jheel si ankhein,

Aaina pochta hey wo jo dil tera tha muhabbat ka istearaa tha,

Kahan hai kho gaya bolo
tere lams sey har dam
jo qurbatoon ki mehek aati
thi,

Kahaan luta aai ho wo bolo!!

kahan gai woh hathailiyaan
jin ki lakeeroon se kisi ka
naam bunti thi,

Teri soochoon main behta tha wo kisi ki yaad ka darya,

kahan hai ab bhalaa bolo
jahan tu nazar karti thi
her aik manzar main jo tum
ko usi ka aks dikhta tha,

kahan hai ab bhalaa boloo
main aainay se kehti hon,

Wo husn ki jhalkian, narm
honton ki hansi sab uske karan thi,

Wo hai kho gaya dekho nazuk abgeenon se sapnay,

Main ne toor dalay hain do jheeel si ankhon ko ab
sulaa dalaa,

Muhabbat isteara dil lahoo
rota hai ab dekho,

Wo lams qurbaton ki mehek
ka,

Hijr raaton main jal bujha
dekhoo,

wo naam jo buna karti thi
junoon main wo naam to merey hathon ki lakeeroon main kabhi tha hi nahi

Sabhi manzar bhula dalay,
sabhi manzar sulaa daalay
kisi ki yaad ke darya si
sochoon main,

Ab asaib thehrey hain ab ankhoon main koi shaam
muskurati nahi,

Wahaan ab ashk rehtey
hain..

No comments:

Post a Comment