Hamay tum nay sikhaya tha
Ibadat kis ko kehtay hain
yeh bhi tum nay bataya tha
Magar jab hum muhabat ki
kisi wadi main khoya thay
Suhanay khawab mairi jaagti
ankhoon main soyay thay
Hamain tanha kiya tum ne
koi awaz tak na dee
Humhain dhoondha bohat
sapnay sajati mairi aankhooN ne
Buhat khushfehmian palay
Buhat hi door ja niklay
Jahan say loot anay main
Hamay ik umer lagni thee
To uss damm aik pal socha!
K kyun na hamm kuch door aur ja bhatkain,
Kisi nayi oor ja niklain
Kisi kay sath phir hum bhee
Khail muhabat ka phir khailain,
Kisi ka toor dain dill hum
Kisi ko sooz main daikhain
Magar mushkil pari hum ko
Keh hum pathar nahen
balkay dharakta dill hi
rakhtay hain..
No comments:
Post a Comment